Hamne Bhi Kabhi Pyaar Kiya Tha

>> Feb 10, 2011

Mujhe pyaar karna na aaya
Mere pyar ko dunia mein koi na samaj na paya,
Roti thi jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hain ki mujhe pyaar karna na aaya

******

Na ye pyaar hoti..
Kaash ye zalim judai na hoti,
Rab tune ye chiz banai na hoti,
Na hum unhe milte na ye pyar hoti,
zindagi jo apni thi parai na hoti.

******

Aapko bhool jau umar guzarne ki baat hai,
Aap ko naa ho yakin yeh aur baat hai,
Jab tak rahegi saas tab tak rahonge yaad,
Yeh saas tut jaaye to aur baat hai…

******

Wafa k saath nibhayenge
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,
Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.

******

Koi chhupa ke roye
Koi dikha ke roye,
Koi chhupa ke roye,
Hamein rulane wale hamein rulake roye,
Marne ka maza to tab hai yaron
Jab kaatil bhi zanaaje par aake roye.

******

Kya bataye ishq ne hame kya silsa diya
Kya bataye ishq ne hame kya silsa diya,
Dosti ne mahobbat karne walo ko juda kar diya,
Hame na malum tha dosti me aisa bhi hoga,
Ki ek dost ne dusre dost ko kafha kar diya………….

******

Tabhi to suraj mein aag hai
Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mohabbat
Is liye to chand mein daag hai
Mumkin hai, ki hogi chand ne suraj se bewafayi
Tabhi to suraj mein aag hai

******

Waffa ka naam mat lo yaaro
Waffa ka naam mat lo yaaro
Waffa dil ko dukhati hai
Waffa ka naam lene se
Humme ek bewaffa ki yaad aati hai

******

Badal gayi jindagi
Hamne bhi kabhi pyaar kiya tha,
Thoda nahi beshumar kiya tha,
Badal gayi jindagi tab,
Jab usne kaha arey pagal maine to mazak kiya tha.

******

Yeh to sab hai pine pilane ke bahane
Yeh kaisi mahobbat, yeh kaise fasane,
Yeh to sab hai pine pilane ke bahane,
Woh daman woh unka ki sunsan saaya,
Ki humko to abb hai bus aasoon bahana.

******

Na chaho kisi ko itna ki
Na chaho kisi ko itna ki,
Chahat tumhari majhburi ban jaye,
Chaho kisi ko itna ki,
Tumhari pyar uske ke liye,
Ek zaruri ban jaye.

******

Hamare liye pyaar
Kab unki palkon se izhaar hoga,
Dil ke kisi kone mein hamare liye pyaar hoga,
Guzar rahi hai raat unki yaad mein,
Kabhi to unko bhi hamara intezar hoga.

******

Teri tasweer ban gayi
Aankhoun per aansoo ki lakeer ban gayi
Kabhi socha na tha aisi taqdeer ban gayi
Hum ne to pheri thi yunhi ret per ungliyan
Gor se dekha to teri tasweer ban gayi

******

Kadam kadam par baharo ne saath choda,
Jarurat padne par yaaro ne saath choda,
Vada kiya sitaro ne saath dene ka,
Lekin subah hone par sitaro ne bhi saath chooda.

******

Aise umeed na kiya karo
Hawa main diya lagakar na bujhne ki umeed mat kiya karo
Bujh jayegi diya sahi jagha ki talash kiya karo
Bina bataye, bina jataye koi maan ki dard jane
Aise umeed na kiya karo
Khud talasho vaise humdard ko
Kisi aash pe na baitha karo.

******

Kya sapno se juda kar pao ge hamain?
Kitna bhi chaho na bhol pao ge hamain,
Jitna dur jao nazdik pao ge hamain,
Mita sakte ho to mita do yadain meri,
Magar kya sapno se juda kar pao ge hamain?

******

Gile kaagaz ki tarah hai zindagi apni
Gile kaagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalaata bhi nahi aur koi bahaata bhi nahi,
Is kadar akele ho gaye hai aapke jane ke baad,
Ke koi sataataa bhi nahi aur koi manata bhi nahi.

******

Mohabbat bata dena…
Dil tod diya ab chitha bhi jala dena,
Kafan na ho to dupatta odha dena,
Koi puche rog kya tha toh nazar jukhakar,
“Mohabbat” bata dena…

******

Chahat pe marte hai hum
Tumhari muskan se jeete hai hum,
Tumhari cahaht pe marte hai hum,
Kaash ki unki cahatoon ka matlab samjh lete,
To aaj rootain na hum.

******

Kaise karein apne ishq ko bayaan
Kaise karein apne ishq ko bayaan
Koi karta hi nahi aithbaar,
Hai hume jinse mohabbt
Unko hi nahi humse pyaar.

******

Manzil na koi
Manzil na koi,
Thikana bhi nahi hai,
Wapas mujhe ghar jana bhi nai hai,
Maine hi sikhaya tha usse teer chalana,
Ab mere siwa uska koi nishana bhi nai hai.

******

Phir na jane kyon badal jaate hai
Vishwas banke log zindagi mein aate hain,
Khwab banke aakhon mein sama jate hai,
Pehle yakeen dilate hai ki woh hamare hai,
Phir na jane kyon badal jaate hai.

******

Ye aansu na hote
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota,
Diwano si apni ye halat na hoti,
Agar jahan mein kambakhat,
Kaash ye mohabbat na hoti.

0 comments:

©2011. FunToSms

Back to TOP